Ghar Bethe Bethe Online Paise Kaise Kamaye?
Last Updated on JUN 16, 2021 by ANIKET S. MANKAR
Online Paise Kaise Kamaye? Ajkal har koi jan na chahta hai ki bethe bethe online paise kaise kamate hai jaldi. To aj Ankit bhai aap logo ko kuch aise tarike batane wala hai jisse aap bhi mere jaise paise kama sakte hai.
- Youtube me videos dalkar
- Social media ka use karke bhi aap paise kama sakte hai
- Tiktok me videos banake
- Flipkart ya amazon me seller bankar
- Online reviews dekar
- Blogging start karke
- Website development ka kaam chalu karke
- Online samaan bechkar
- Affiliate marketing karke
1. Apni skills ya kala ko online bechkar (10000 se 15000/- Per Month)
Har kisi ke andar koi kala hoti hai lekin ise pehchante bhot kam log hai. Jo pechan jata hai apne andar ki kala ko use Winner kehte hai or jo nai pehchanta wo looser hota hai.
Kya aapko pata hai ki apke andar bhi kuch kala hai tabhi aap search karke is article tak phuch paye hai. chaliye to jante h ki aapke andar kya karne ki chhamta hai.
- Kuch aise website jaha har kuch bikta hai. Agar aapko gaana gana pasand hai to aap kisi ke liye gaana ga sakte hai and wo aapki awaz ko record karke rakh lega and iske badle me aapko 350/- dega.
- Agar aapko sketching pasand hai to aap kisi ki sketch banakar use de sakte hai and iske badle aapko wo paise dega.
- Agar aapko logo design karte banta hai tab to bhot hi achi baat hai. Aap kisi company ke liye logo design kar sakte hai or iske badle me aapko 1000/- tak milte hai.
- Agar aapko guitar, piano ya koi bhi instrument bajate banta hai to iske liye bhi aapko paise milte hai.
Ab baat ati hai ki ye sab aap kaha apply kar sakte hai? me aapko kuch aisi website ke naam bata raha hu jaha aap apna account banakar ye kaam start kar sakte hai.
- Fiverr.com
- PeoplePerHour.com
- Guru.com
- Freelancer.com
- Elance.com
Ye bhi padhe:
- Fiverr.com me account kaise banate hai?
- PeoplePerHour.com me account kaise banate hai?
- Guru.com me account kaise banate hai?
- Freelancer.com me account kaise banate hai?
- Elance.com me account kaise banate hai?
2. Youtube channel me videos dalkar (20000 se 25000/- Per Month)
Youtube me laakho video pade hote hai esa kyo ? Kya jo bhi log videos daalte hai unke paas free fokat time h kya ? Ji nai balki iske badle unko paise milte hai or ye paise deta hai google.
Note : Yaad rahe ki youtube ki kuch sharte hoti hai jo ki poori karna aniwarya hai.
Aap bhi youtube me videos banakar daal sakte hai or online paise kama sakte hai. Ab question ye ata hai ki Youtube se aap kitne paise kama sakte hai har month?
Ye depend karta hai ki app kitne videos dalte h daily. Mere Kuch dosto ke channels ke naam yha par likh raha hu jinki income 60000 se 2,90,000/- per month ki hai.
Channel 1 : Aapki Rasoi ( 1 Lakh Per month)
Channel 2 : Raksha ki Rasoi (60000/- Per month)
Channel 3 : Gyan Therapy (2 Lakh Per month)
Channel 4 : Artem Plays Toys (7 Lakh Per month)
Youtube me account and channel kaise banate hai?
3. Social media se online paise kaise kamaye?
Social media matlab Facebook, WhatsApp, Google+, Instagram and or bhi 20 social media hai jaha par log ek dusre se judte hai.
Or ha 90% logo ko to yeh bhi ni pata ki Faceboo, Instagram, whatsApp chalate chalate paise bhi kamaye ja sakte hai. Yeh janne ke liye niche diye gaye articles me click kare.
- Facebook se paise kaise kamaye?
- WhatsApp se paise kaise kamaye?
- Instagram se paise kaise kamaye?
- Twitter se paise kaise kamaye?
4. Tiktok me videos banakar paise kaise kamaye
Tiktok ek funny application hai jo ki ab tak $90 Billion dollor ki company ban chuki hai matlab Rs. 68,06,92,50,00,00/- ki company.
Tiktok me aap bhi videos banakar paise kama sakte hai badi asaani se. Bas ise viral karna padta hai to jo bhi video aap banaye wo badi hosiyari n creativity ke sath banaye. Is baare me puri tarah se jan ne ke liye niche diye gaye article ko padhe.
- Tiktok se paise kaise kamaye?
5. Flipkart ya amazon me seller ya affiliated bankar kamaye
Kya aapko pata hai ki flipkart and amazon se do tariko se paise kamaye ja sakte hai 1st Affiliate bankar 2nd Seller bankar.
Me khud ek seller hu and flipkart se Rs. 90000/- per month and amaozon se Rs. 1.8 Lakh per month kamata hu. Viswas nahi ho raha h na aapko? to aap niche di gayi link me click karke padhiye ki kaise kamate hai.
- Flipkart Se Paise Kaise Kamaye?
- Amazon Se Paise Kaise Kamaye?
6. Online reviews dekar paise kamaye
Bahot saare product jo new launch hote hai unme review dene ki job asani se mil jati hai.
Ye sajobs paane ke liye online apply karna padta hai. Kuch links share kar raha hu jisme aap jakar inko apply kar sakte hai.
- https://www.freelancer.in/jobs/reviews/
- https://www.appreviewspro.com/
- https://jooble.org/jobs-online-product-review
7. Blogging start karke online paise kaise kamaye
Dosto aap logo me se 73% logo ko ye bhi ni pata hota ki blogging hoti kya hai. Agar aap blogger hai to aap blog likhkar laakho rupees mahina kama sakte hai.
blooging ka matlab hota hai articles likhna and internet me daal dena and jab log is article ko google me dekhte hai to wo click karke apke blog me a jate hai and waha par aspas jo bhi Ads hote h unme click karte hi blogger (jiska blog hai) usko google paise deti hai. Poori jankari ke liye niche di hui link par click kare.
- Blogging Kya hai and isse paise kaise kamaye?
8. Website Design development se paise kaise kamaye
100 me se 60% engineers aise hai jinki job nahi lagi hai or wo ghar me bethe hai ek excuse lekar ki agar mujhe ye mila hota to me wo kar diya hota. Bhai agar aap bhi inme se ek ho to kasam se sabse bade looser ho. Bura mat man na bro but yahi sach hai.
Mene bhi engineering ki hai and me blogger hu, youtuber hu, website development janta hu, managment janta hu or bhi bhot kuch. Ye sab batakar me apni taarif ni kar raha hu balki ye kehna chahta hu ki:
“Kisi bhi kaam ko karne ka 1 karan hota hai or na karne ke 100” – Ankit
Agar aap bhi thoda bhot website development jante hai CMS ka use karke to bhot hi acha hai. Bas aapko wordpress me website banate ban na chahiye and aap freelancer.com me easily website development ke project le sakte hai or pura karne par aapko 9000/- se lekar 75000/- tak paise mil sakte hai. Yad rahe ki ye ek project ke paise hai.
Agar aap 1 month me 5 project bhi complete karte hai to sochiye kitna paisa kama sakte hai. Project paane ke liye niche freelancer ki link de raha hu bhai log:
- https://www.freelancer.in/jobs/?keyword=wordpress
9. Online samaan bechkar paise kamaye
Dosto jaise ki mene 5th point me bataya hai ki facebook amazon me seller bankar aap online paise kama sakte hai. Ye bhi usi tarah hai bas ha online paise kamane ke rtarike bhot hote hai.
Jese ki aap apni online shop bana sakte hai or wo bhi free me? Online shop banane ke liye niche di gayi links me click kare.
Agar aapke paas koi products hai bechne ke liye:
Agar aapke paas koi products nahi hai balki dusro ke products online bechkar paise kamana chahte hai:
- https://meesho.com/
Janiye: Meesho App Se Paise Kaise Kamaye
10. Affiliate marketing karke online paise kaise kamaye
Iska matlab suddh hindi me hota hai ki Kisi ke products ko apne friends tak pahuchana and commission kamana.
ajakal 100 me se 80% products affiliate marketing ke through bikte hai to aap ban sakte hai affiliater in products ke and online paise kama sakte hai.
Sabse jayada affiliator Flipkart and amazon ke bante hai. Bhaiyo lekin aap kuch or bhi products ke affiliator ban sakte hai. Kuch links share kar raha hu inhe jarur padhiye.
Websitehoting Affiliate se bhot jyada paise kamaye ja sakte hai lekin iske liye aapko website hosting ke baare me basic jankari hona chahiye.
Niche link de raha hu jisme saari hosting ke affiliate account banane ki link di gayi hai and commision bhi diya gya hai ek sale hone par or ye commision minimum 6000/- se lekar 42000/- tak bhi ho sakta hai.
Link: https://www.websitehostingrating.com/best-web-hosting-affiliate-programs/
Summary:
To fir final shabdo me agar mujhe inme se kisi ek tarike ko select karne ko bola jaye to me select karuga 2nd 4th and 6th kyonki ye sabse aasan hai. Baaki har kisi ki choice alag alag hoti hai.
To dosto comment me yeh jarura batiyega ki apka question Online Paise Kaise Kamaye? ka answer mil gaya h ki nai. Bhot mehnat se article likha hai aap sabhi ke liye agar isme koi kami ho to mujhe comment section me jarur bataiyega me. Dhanyabad.